aankhon se palkon tak jo do raste the
āñkhoñ se palkoñ tak jo do raste the
un rastoñ meñ kitne dariyā paḌte the
aur is se bhī rastā thoḌā āsān huā
ḳhvāb meñ ham ne saare jañgle dekhe the
ghuum rahā thā ik majnūñ bin vahshat ke
saare sahrā meñ us ke hī charche the
vaqt thā us kī ruḳhsat kā aur laTe thī maiñ
gaaḌī ke saare Dabbe bhī ik se the
ek mukammal manzar thā us manzar meñ
vo thā aur do-chār parinde baiThe the
aankhon se palkon tak jo do raste the
un raston mein kitne dariya paDte the
aur is se bhi rasta thoDa aasan hua
KHwab mein hum ne sare jangle dekhe the
ghum raha tha ek majnun bin wahshat ke
sare sahra mein us ke hi charche the
waqt tha us ki ruKHsat ka aur laTe thi main
gaDi ke sare Dabbe bhi ek se the
ek mukammal manzar tha us manzar mein
wo tha aur do-chaar parinde baiThe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.