aankhon se pare nind ki raftar mein rahna
āñkhoñ se pare niiñd kī raftār meñ rahnā
har pal kisī nā-dīd ke dīdār meñ rahnā
kho jaanā use dekh ke uryāñ ke safar meñ
chhūte hī use hajla-e-asrār meñ rahnā
ik ḳhvāb-e-darīda ko rag-e-harf se siinā
phir le ke use kūcha-o-bāzār meñ rahnā
ḳhud apne ko hī dekh ke hairān sā honā
nargis kī tarah mausam-e-bīmār meñ rahnā
marnā yūñhī abresham-o-kam-ḳhvāb-e-havas meñ
dam toḌ ke zinda kabhī dīvār meñ rahnā
hasrat sī liye ḳhilqat-e-ma.asūm meñ phirnā
sāzish kī tarah gardish-e-darbār meñ rahnā
hai baḳht sitāroñ kā un āñkhoñ meñ chamaknā
aur gul kā muqaddar lab-o-ruḳhsār meñ rahnā
raunaq sī liye shahr ke rastoñ pe bikharnā
tanhā.ī kī sūrat dar-o-dīvār meñ rahnā
'sarmad' tapish-e-nār-e-suḳhan meñ huuñ ki mujh ko
gul kartā rahā shola-o-añgār meñ rahnā
aankhon se pare nind ki raftar mein rahna
har pal kisi na-did ke didar mein rahna
kho jaana use dekh ke uryan ke safar mein
chhute hi use hajla-e-asrar mein rahna
ek KHwab-e-darida ko rag-e-harf se sina
phir le ke use kucha-o-bazar mein rahna
KHud apne ko hi dekh ke hairan sa hona
nargis ki tarah mausam-e-bimar mein rahna
marna yunhi abresham-o-kam-KHwab-e-hawas mein
dam toD ke zinda kabhi diwar mein rahna
hasrat si liye KHilqat-e-masum mein phirna
sazish ki tarah gardish-e-darbar mein rahna
hai baKHt sitaron ka un aankhon mein chamakna
aur gul ka muqaddar lab-o-ruKHsar mein rahna
raunaq si liye shahr ke raston pe bikharna
tanhai ki surat dar-o-diwar mein rahna
'sarmad' tapish-e-nar-e-suKHan mein hun ki mujh ko
gul karta raha shola-o-angar mein rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.