aansu ban kar bahne laeq tariki
aañsū ban kar bahne laa.eq tārīkī
ya.anī Tapkī piine laa.eq tārīkī
merī āñkhoñ se Tapke hai rāt-o-din
sab ke hosh uḌāne laa.eq tārīkī
gulshan kī ḳhushbū meñ kaise pāoge
añdheroñ meñ rahne laa.eq tārīkī
aate haiñ aaseb mire dil ke andar
hogī shāyad un ke laa.eq tārīkī
ek samundar kī tah meñ rahtī hai jo
jal-pariyoñ ke rahne laa.eq tārīkī
mere dil ke TukḌe kar ke bāñTī hai
sab ne apne apne laa.eq tārīkī
merī āñkhoñ meñ hī shāyad mil jaa.e
tārīkī ko apne laa.eq tārīkī
ḳhāmoshī ke saath udāsī chhā.ī hai
ya.anī raat bitāne laa.eq tārīkī
Dūbne vaalā sūraj chhoḌ ke jaatā hai
in tāroñ ke jiine laa.eq tārīkī
ik jañgal se le kar aayā huuñ ghar pe
mere chhoTe kamre laa.eq tārīkī
aansu ban kar bahne laeq tariki
yani Tapki pine laeq tariki
meri aankhon se Tapke hai raat-o-din
sab ke hosh uDane laeq tariki
gulshan ki KHushbu mein kaise paoge
andheron mein rahne laeq tariki
aate hain aaseb mere dil ke andar
hogi shayad un ke laeq tariki
ek samundar ki tah mein rahti hai jo
jal-pariyon ke rahne laeq tariki
mere dil ke TukDe kar ke banTi hai
sab ne apne apne laeq tariki
meri aankhon mein hi shayad mil jae
tariki ko apne laeq tariki
KHamoshi ke sath udasi chhai hai
yani raat bitane laeq tariki
Dubne wala suraj chhoD ke jata hai
in taron ke jine laeq tariki
ek jangal se le kar aaya hun ghar pe
mere chhoTe kamre laeq tariki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.