aansu gira to kanch ka moti bikhar gaya
aañsū girā to kāñch kā motī bikhar gayā
phir sub.h tak dupaTTā sitāroñ se bhar gayā
maiñ chunarī DhūñDhtī rahī aur itnī der meñ
darvāze par khaḌā huā ik ḳhvāb mar gayā
sarmā kī chāñdnī thī javānī guzar ga.ī
jhulsā rahī hai dhuup buḌhāpā Thahar gayā
maiñ raftagāñ kī baat pe be-sāḳhta hañsī
anjām us hañsī kā bhī afsurda kar gayā
tum kah rahe ho hijr meñ martā nahīñ koī
phir kyoñ ġham-e-judā.ī meñ vo hañs mar gayā
ḳhālī galī meñ saare makāñ sochte rahe
is samt jis ko aanā thā vo kis nagar gayā
in pāniyoñ ko tishna-laboñ se gurez thā
chaḌhtī nadī kā mast bahāo utar gayā
thoḌī sī der mil ke bahut der ro liye
phir apne ghar ko maiñ ga.ī vo apne ghar gayā
saudā thā sar meñ duur bahut duur jā baseñ
azm-e-safar kiyā to mirā ham-safar gayā
patthar kī mūrtī banī maiñ dekhtī rahī
ghar pīchhe rah gayā thā vo aage guzar gayā
aansu gira to kanch ka moti bikhar gaya
phir subh tak dupaTTa sitaron se bhar gaya
main chunari DhunDhti rahi aur itni der mein
darwaze par khaDa hua ek KHwab mar gaya
sarma ki chandni thi jawani guzar gai
jhulsa rahi hai dhup buDhapa Thahar gaya
main raftagan ki baat pe be-saKHta hansi
anjam us hansi ka bhi afsurda kar gaya
tum kah rahe ho hijr mein marta nahin koi
phir kyon gham-e-judai mein wo hans mar gaya
KHali gali mein sare makan sochte rahe
is samt jis ko aana tha wo kis nagar gaya
in paniyon ko tishna-labon se gurez tha
chaDhti nadi ka mast bahao utar gaya
thoDi si der mil ke bahut der ro liye
phir apne ghar ko main gai wo apne ghar gaya
sauda tha sar mein dur bahut dur ja basen
azm-e-safar kiya to mera ham-safar gaya
patthar ki murti bani main dekhti rahi
ghar pichhe rah gaya tha wo aage guzar gaya
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.