Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aansu hain aur na aah-o-zari hai

Shamsa Najm

aansu hain aur na aah-o-zari hai

Shamsa Najm

MORE BYShamsa Najm

    aañsū haiñ aur na āh-o-zārī hai

    ik 'ajab dil ko be-qarārī hai

    kaisī ye ab ke be-qarārī hai

    ek ik saañs yaañ pe bhārī hai

    hijr ġham hai intihā par

    aañkh nam hai na āh-o-zārī hai

    thā adhūrā kabhī binā mere

    jis ko do pal saath bhārī hai

    kuchh nahīñ hai tumhāre hāthoñ meñ

    saañs tak pe be-iḳhtyārī hai

    rahe ho samajh ke apnī tum

    jab ki ye zindagī hamārī hai

    ab to lagtā hai ik tamāshā

    dhaḌkanoñ jo khel jaarī hai

    rahe haiñ tire binā ham jo

    is meñ qudrat dast-kārī hai

    ab ujālā hai 'shamsa' mahfil hai

    kyūñki ye raushnī tumhārī hai

    aansu hain aur na aah-o-zari hai

    ek 'ajab dil ko be-qarari hai

    kaisi ye ab ke be-qarari hai

    ek ek sans yan pe bhaari hai

    hijr ka gham hai intiha ka par

    aankh nam hai na aah-o-zari hai

    tha adhura kabhi bina mere

    jis ko do pal ka sath bhaari hai

    kuchh nahin hai tumhaare hathon mein

    sans tak pe be-iKHtyari hai

    ji rahe ho samajh ke apni tum

    jab ki ye zindagi hamari hai

    ab to lagta hai ek tamasha sa

    dhaDkanon ka jo khel jari hai

    ji rahe hain tere bina hum jo

    is mein qudrat ki dast-kari hai

    ab ujala hai 'shamsa' mahfil hai

    kyunki ye raushni tumhaari hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now