aansu hamara uski hatheli pe aa gaya
aañsū hamārā us kī hathelī pe aa gayā
shahzāda aaj apnī havelī pe aa gayā
kuchh phuul khil ga.e ye ḳhushī to huī magar
ik saañp bhī kahīñ se chamelī pe aa gayā
motī jaḌe the jis meñ hamāre yaqīn ke
vo haar kaise terī sahelī pe aa gayā
ab us kā haath chhoḌnā majbūrī hai mirī
ye 'ishq bhī 'ajīb pahelī pe aa gayā
kal raat us ne chuum liyā mere haath ko
mahtāb āsmāñ se hathelī pe aa gayā
aansu hamara us ki hatheli pe aa gaya
shahzada aaj apni haweli pe aa gaya
kuchh phul khil gae ye KHushi to hui magar
ek sanp bhi kahin se chameli pe aa gaya
moti jaDe the jis mein hamare yaqin ke
wo haar kaise teri saheli pe aa gaya
ab us ka hath chhoDna majburi hai meri
ye 'ishq bhi 'ajib paheli pe aa gaya
kal raat us ne chum liya mere hath ko
mahtab aasman se hatheli pe aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.