aansu pina aur muskana achchha lagta hai
aañsū piinā aur muskānā achchhā lagtā hai
chaTTānoñ se sar Takrānā achchhā lagtā hai
niilī poshākoñ meñ bādal pyāre lagte haiñ
barf-mahal meñ aanā jaanā achchhā lagtā hai
barf ke tode rahte haiñ masrūf sharārat meñ
parbat kā ye khel purānā achchhā lagtā hai
mustaqbil ke manzar-nāme likhtā rahtā huuñ
phir bhī apnā sher purānā achchhā lagtā hai
chāñd ko bāñhoñ meñ bhar kar maiñ hañstā rahtā huuñ
chāñd kahe hai ye dīvānā achchhā lagtā hai
tan ke bāġhīchoñ meñ jab ehsās mahakte haiñ
sūraj kā ugnā Dhal jaanā achchhā lagtā hai
log bulāte haiñ us ko jab mere havāle se
chauñknā us kā aur sharmānā achchhā lagtā hai
jis ke pas-manzar meñ ujlī ujlī dhuup ho koī
aise manzar kā Thukrānā achchhā lagtā hai
sham-e-farozāñ kī sūrat alfāz haiñ 'ḳhālid' jī
lahja ye jānā-pahchānā achchhā lagtā hai
aansu pina aur muskana achchha lagta hai
chaTTanon se sar Takrana achchha lagta hai
nili poshakon mein baadal pyare lagte hain
barf-mahal mein aana jaana achchha lagta hai
barf ke tode rahte hain masruf shararat mein
parbat ka ye khel purana achchha lagta hai
mustaqbil ke manzar-name likhta rahta hun
phir bhi apna sher purana achchha lagta hai
chand ko banhon mein bhar kar main hansta rahta hun
chand kahe hai ye diwana achchha lagta hai
tan ke baghichon mein jab ehsas mahakte hain
suraj ka ugna Dhal jaana achchha lagta hai
log bulate hain us ko jab mere hawale se
chaunkna us ka aur sharmana achchha lagta hai
jis ke pas-manzar mein ujli ujli dhup ho koi
aise manzar ka Thukrana achchha lagta hai
sham-e-farozan ki surat alfaz hain 'KHalid' ji
lahja ye jaana-pahchana achchha lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.