aansu thame jo ruKH pe wo gesu bikhar gaya
aañsū thame jo ruḳh pe vo gesū bikhar gayā
milte hī donoñ vaqt ke dariyā Thahar gayā
achchhā huā shabāb kā aalam guzar gayā
ik jin chaḌhā huā mire sar se utar gayā
yaar aa ke ḳhvāb meñ mujhe sharminda kar gayā
kyā saḳht jaan thā ki na furqat meñ mar gayā
'ushshāq kam-sinī se vo kam-sin habāb-vār
joban ne jab kuchoñ ko ubhārā ubhar gayā
ai ham-safīr bāl-fishānī kā zikr kyā
tolā jo bāzuoñ ko paroñ ko katar gayā
lauh-e-mazār bhī jo banā.ī vo sang-dil
patthar kī sil tarāsh ke chhātī pe dhar gayā
marne pe qabr bhī jo khudī mohr kī tarah
maiñ be-nishān misl-e-nagīñ naam kar gayā
bigḌā banāo kar ke jo vo but raqīb se
fazl-e-ḳhudā se kaam hamārā sañvar gayā
kyā ābdārī-e-dam-e-ḳhanjar bayāñ karūñ
paanī kā ghūñT thā ki gale se utar gayā
sunte haiñ jaan hijr meñ 'arsh'-e-hazīñ ne dī
bhūkā visāl-e-yār kā kuchh khā ke mar gayā
aansu thame jo ruKH pe wo gesu bikhar gaya
milte hi donon waqt ke dariya Thahar gaya
achchha hua shabab ka aalam guzar gaya
ek jin chaDha hua mere sar se utar gaya
yar aa ke KHwab mein mujhe sharminda kar gaya
kya saKHt jaan tha ki na furqat mein mar gaya
'ushshaq kam-sini se wo kam-sin habab-war
joban ne jab kuchon ko ubhaara ubhar gaya
ai ham-safir baal-fishani ka zikr kya
tola jo bazuon ko paron ko katar gaya
lauh-e-mazar bhi jo banai wo sang-dil
patthar ki sil tarash ke chhati pe dhar gaya
marne pe qabr bhi jo khudi mohr ki tarah
main be-nishan misl-e-nagin nam kar gaya
bigDa banao kar ke jo wo but raqib se
fazl-e-KHuda se kaam hamara sanwar gaya
kya aabdari-e-dam-e-KHanjar bayan karun
pani ka ghunT tha ki gale se utar gaya
sunte hain jaan hijr mein 'arsh'-e-hazin ne di
bhuka visal-e-yar ka kuchh kha ke mar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.