aansuon ko raushnai kar raha hun
āñsuoñ ko raushnā.ī kar rahā huuñ
is zamāna se laḌā.ī kar rahā huuñ
koī chārāgar nahīñ hai aaj merā
har maraz kī ḳhud davā.ī kar rahā huuñ
ek nanhe se diye kī raushnī le
maiñ añdheroñ se laḌā.ī kar rahā huuñ
maiñ burā.ī kar rahā huuñ aap kī yā
maiñ hī ḳhud apnī burā.ī kar rahā huuñ
kal se bo.ūñgā sunahre ḳhvāb in meñ
aaj āñkhoñ kī safā.ī kar rahā huuñ
aansuon ko raushnai kar raha hun
is zamana se laDai kar raha hun
koi chaaragar nahin hai aaj mera
har maraz ki KHud dawai kar raha hun
ek nanhe se diye ki raushni le
main andheron se laDai kar raha hun
main burai kar raha hun aap ki ya
main hi KHud apni burai kar raha hun
kal se bounga sunahre KHwab in mein
aaj aankhon ki safai kar raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.