aao ab mil ke gulistan ko gulistan kar den
aao ab mil ke gulistāñ ko gulistāñ kar deñ
har gul-o-lāla ko raqsāñ o ġhazal-ḳhvāñ kar deñ
'aql hai fitna-e-bedār sulā deñ is ko
'ishq kī jins-e-girāñ-māya ko arzāñ kar deñ
dast-e-vahshat meñ ye apnā hī garebāñ kab tak
ḳhatm ab silsila-e-chāk-e-garebāñ kar deñ
ḳhūn-e-ādam pe koī harf na aane paa.e
jinheñ insāñ nahīñ kahte unheñ insāñ kar deñ
dāman-e-ḳhāk pe ye ḳhuun ke chhīñTe kab tak
inhīñ chhīñToñ ko bahisht-e-gul-o-raihāñ kar deñ
maah o anjum bhī hoñ sharminda-e-tanvīr 'majāz'
dasht-e-zulmāt meñ ik aisā charāġhāñ kar deñ
aao ab mil ke gulistan ko gulistan kar den
har gul-o-lala ko raqsan o ghazal-KHwan kar den
'aql hai fitna-e-bedar sula den is ko
'ishq ki jins-e-giran-maya ko arzan kar den
dast-e-wahshat mein ye apna hi gareban kab tak
KHatm ab silsila-e-chaak-e-gareban kar den
KHun-e-adam pe koi harf na aane pae
jinhen insan nahin kahte unhen insan kar den
daman-e-KHak pe ye KHun ke chhinTe kab tak
inhin chhinTon ko bahisht-e-gul-o-raihan kar den
mah o anjum bhi hon sharminda-e-tanwir 'majaz'
dasht-e-zulmat mein ek aisa charaghan kar den
- Book : Aahang (Pg. 226)
- Author : Asrar-ul-Haq Majaz
- Publication : National Council for Promotion of Urdu Language, Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.