aao ab zabt aazmaen hum
aao ab zabt āzmā.eñ ham
ek duuje ko bhuul jaa.eñ ham
kyoñ na ik baar aisā vasl kareñ
jism ko duur chhoḌ aa.eñ ham
zindagī jab safar hai do din kā
kyoñ na ik ham-safar banā.eñ ham
ham ko apnī koī ḳhabar hī nahīñ
ḳhud ko kaise talāsh laa.eñ ham
baḌī mushkil se ek jaan milī
kaise is jaan ko gañvā.eñ ham
ḳhud-kushī kyoñ na is adā se kareñ
us kī āñkhoñ meñ Duub jaa.eñ ham
tum shikasta badan ho kyoñ 'kāshif'
ahl-e-duniyā ko kyā batā.eñ ham
aao ab zabt aazmaen hum
ek duje ko bhul jaen hum
kyon na ek bar aisa wasl karen
jism ko dur chhoD aaen hum
zindagi jab safar hai do din ka
kyon na ek ham-safar banaen hum
hum ko apni koi KHabar hi nahin
KHud ko kaise talash laen hum
baDi mushkil se ek jaan mili
kaise is jaan ko ganwaen hum
KHud-kushi kyon na is ada se karen
us ki aankhon mein Dub jaen hum
tum shikasta badan ho kyon 'kashif'
ahl-e-duniya ko kya bataen hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.