aao baiTho dard ki baaten karen
aao baiTho dard kī bāteñ kareñ
rāstoñ kī gard kī bāteñ kareñ
dil ke ujḌe gulsitāñ ko bhuul kar
aaj barg-e-zard kī bāteñ kareñ
apnā dukh-sukh kah ke phir barsoñ ke ba.ad
ghar ke ik ik fard kī bāteñ kareñ
surḳh phūloñ kī kahānī chheḌ ke
phir se barg-e-zard kī bāteñ kareñ
raushnī pīchhe shahar kī rah ga.ī
dil kī sham.a-e-sard kī bāteñ kareñ
sochte haiñ chāhtā hai dil ye kyoñ
ham usī be-dard kī bāteñ kareñ
gum hue sochoñ meñ 'zebā' kis tarah
bhūle-bisre dard kī bāteñ kareñ
aao baiTho dard ki baaten karen
raston ki gard ki baaten karen
dil ke ujDe gulsitan ko bhul kar
aaj barg-e-zard ki baaten karen
apna dukh-sukh kah ke phir barson ke baad
ghar ke ek ek fard ki baaten karen
surKH phulon ki kahani chheD ke
phir se barg-e-zard ki baaten karen
raushni pichhe shahar ki rah gai
dil ki shama-e-sard ki baaten karen
sochte hain chahta hai dil ye kyon
hum usi be-dard ki baaten karen
gum hue sochon mein 'zeba' kis tarah
bhule-bisre dard ki baaten karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.