aao hum tum ishq ke izhaar ki baaten karen
aao ham tum ishq ke iz.hār kī bāteñ kareñ
Daal kar bāñhoñ meñ bāheñ pyaar kī bāteñ kareñ
phuul kī bāteñ kareñ gulzār kī bāteñ kareñ
pyaar kī bāteñ kareñ bas pyaar kī bāteñ kareñ
baat ham donoñ ko ye to sochnī hī chāhiye
pyaar ke mausam meñ kyuuñ takrār kī bāteñ kareñ
is se achchhī baat koī aur ho saktī nahīñ
yaar kā afsāna chheḌeñ yaar kī bāteñ kareñ
kaash bachpan luuT aa.e aur ham sab baiTh kar
kachchī miTTī ke dar-o-dīvār kī bāteñ kareñ
shukriya bazāriyat kī raushnī kā shukriya
gaañv kī pagDañDiyāñ bāzār kī bāteñ kareñ
ka.aba-o-kāshī ke qisse ho chuke ab bas karo
aao 'qaisar' naqsh-e-pā-e-yār kī bāteñ kareñ
aao hum tum ishq ke izhaar ki baaten karen
Dal kar banhon mein bahen pyar ki baaten karen
phul ki baaten karen gulzar ki baaten karen
pyar ki baaten karen bas pyar ki baaten karen
baat hum donon ko ye to sochni hi chahiye
pyar ke mausam mein kyun takrar ki baaten karen
is se achchhi baat koi aur ho sakti nahin
yar ka afsana chheDen yar ki baaten karen
kash bachpan luT aae aur hum sab baiTh kar
kachchi miTTi ke dar-o-diwar ki baaten karen
shukriya bazariyat ki raushni ka shukriya
ganw ki pagDanDiyan bazar ki baaten karen
kaba-o-kashi ke qisse ho chuke ab bas karo
aao 'qaisar' naqsh-e-pa-e-yar ki baaten karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.