aao ki ab to jurat-e-jurm-e-suKHan karen
aao ki ab to jur.at-e-jurm-e-suḳhan kareñ
fikr-e-suḳhan ko chhoḌ ke fikr-e-chaman kareñ
dāman guloñ ke chaak haiñ kaliyāñ haiñ dil-figār
ḳhāmosh rah ke zulm ye kab tak sahan kareñ
parvāz par hai rok chahaknā bhī hai gunāh
kab tak qubūl ham ye nizām-e-chaman kareñ
kaafī nahīñ hai ḳhidmat-e-lauh-o-qalam faqat
ab vaqt hai ki ḳhidmat-e-dār-o-rasan kareñ
auhām ke añdheroñ ko jaḌ se ukhāḌ kar
raushan charāġh-e-haq se fazā-e-vatan kareñ
lāshoñ ke Dher par jo siyāsat haiñ kar rahe
un qātiloñ se paak ye arz-e-vatan kareñ
rishiyoñ kī sarzamīñ pe luTeroñ kā raaj hai
āzād aao vādī-e-gang-o-jaman kareñ
kab se lahūluhān hai vaadī chinār kī
ābād phir se aao vo rashk-e-'adan kareñ
kab tak laḌeñge apne paḌosī se dosto
le de ke ḳhatm kyoñ na fasād-e-kuhan kareñ
shaitān ko akele harānā muhāl hai
mil kar chalo muqābla-e-ahraman kareñ
ahl-e-vatan ko niiñd se bedār jo kare
ahl-e-suḳhan bhī aaj numāyāñ vo fan kareñ
mazlūm ke bachāv meñ laḌnā hī hai jihād
mauqa' mile to ham bhī fidā jān-o-tan kareñ
jo hukm-nāme aur jo fatve sunāte haiñ
aao ki aaj band vo saare dahan kareñ
dekho na past hoñ kabhī yaaro ye hausle
baaqī hai buuñd ḳhuun kī jab tak jatan kareñ
aao ki ab to jurat-e-jurm-e-suKHan karen
fikr-e-suKHan ko chhoD ke fikr-e-chaman karen
daman gulon ke chaak hain kaliyan hain dil-figar
KHamosh rah ke zulm ye kab tak sahan karen
parwaz par hai rok chahakna bhi hai gunah
kab tak qubul hum ye nizam-e-chaman karen
kafi nahin hai KHidmat-e-lauh-o-qalam faqat
ab waqt hai ki KHidmat-e-dar-o-rasan karen
auham ke andheron ko jaD se ukhaD kar
raushan charagh-e-haq se faza-e-watan karen
lashon ke Dher par jo siyasat hain kar rahe
un qatilon se pak ye arz-e-watan karen
rishiyon ki sarzamin pe luTeron ka raj hai
aazad aao wadi-e-gang-o-jaman karen
kab se lahuluhan hai wadi chinar ki
aabaad phir se aao wo rashk-e-'adan karen
kab tak laDenge apne paDosi se dosto
le de ke KHatm kyon na fasad-e-kuhan karen
shaitan ko akele harana muhaal hai
mil kar chalo muqabla-e-ahraman karen
ahl-e-watan ko nind se bedar jo kare
ahl-e-suKHan bhi aaj numayan wo fan karen
mazlum ke bachaw mein laDna hi hai jihad
mauqa' mile to hum bhi fida jaan-o-tan karen
jo hukm-name aur jo fatwe sunate hain
aao ki aaj band wo sare dahan karen
dekho na past hon kabhi yaro ye hausle
baqi hai bund KHun ki jab tak jatan karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.