aap aae the yan jafa ke liye
aap aa.e the yaañ jafā ke liye
jā.iye bhī kahīñ ḳhudā ke liye
dil diyā thā tumheñ jafā ke liye
hosh meñ aa.iye ḳhudā ke liye
tere bāzār-e-dahr meñ gardūñ
ham bhī aa.e haiñ ik qabā ke liye
paañv haiñ kūcha-e-tavakkal meñ
haath uThte nahīñ du'ā ke liye
aa kabhī to mire qafas kī taraf
ai nasīm-e-chaman ḳhudā ke liye
hai tah-e-ḳhāk farsh-e-ḳhāk lagā
shaah ke vāste gadā ke liye
dam phaḌaktā hai tauf-e-ka.aba par
dil taḌaptā hai karbalā ke liye
sar uThā.e haiñ ḳhār-e-dasht-o-junūñ
'muntahī' se barahna-pā ke liye
aap aae the yan jafa ke liye
jaiye bhi kahin KHuda ke liye
dil diya tha tumhein jafa ke liye
hosh mein aaiye KHuda ke liye
tere bazar-e-dahr mein gardun
hum bhi aae hain ek qaba ke liye
panw hain kucha-e-tawakkal mein
hath uThte nahin du'a ke liye
aa kabhi to mere qafas ki taraf
ai nasim-e-chaman KHuda ke liye
hai tah-e-KHak farsh-e-KHak laga
shah ke waste gada ke liye
dam phaDakta hai tauf-e-kaba par
dil taDapta hai karbala ke liye
sar uThae hain KHar-e-dasht-o-junun
'muntahi' se barahna-pa ke liye
- Deewan-e-MuntahiáKaristan-e-Fasahatâ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.