aap aur aap ka asar donon
aap aur aap kā asar donoñ
kar ga.e ham ko dar-ba-dar donoñ
donoñ tanhā.iyoñ ke maare the
is liye bhī haiñ ham-safar donoñ
ek bistar hai beach meñ takiya
kaise so.eñge raat bhar donoñ
baat baḌhne kī ye vajah bhī thī
baat karte the muḳhtasar donoñ
aap aa.e bhī aur chale bhī ga.e
jhūTh lagtī haiñ ye ḳhabar donoñ
ishq se log be-ḳhabar rahte
saath marte nahīñ agar donoñ
ek bachchī ġharīb aur an-paḌh
is parī ke nahīñ haiñ par donoñ
do gunī kar rahe the ḳhushiyoñ ko
ek duuje ko baañT kar donoñ
kaise muñh ko phulā.e baiThe haiñ
ek-dūje kī baat par donoñ
band karte hī aañkh aane lage
ek-dūje ko ab nazar donoñ
aap aur aap ka asar donon
kar gae hum ko dar-ba-dar donon
donon tanhaiyon ke mare the
is liye bhi hain ham-safar donon
ek bistar hai beach mein takiya
kaise soenge raat bhar donon
baat baDhne ki ye wajah bhi thi
baat karte the muKHtasar donon
aap aae bhi aur chale bhi gae
jhuTh lagti hain ye KHabar donon
ishq se log be-KHabar rahte
sath marte nahin agar donon
ek bachchi gharib aur an-paDh
is pari ke nahin hain par donon
do guni kar rahe the KHushiyon ko
ek duje ko banT kar donon
kaise munh ko phulae baiThe hain
ek-duje ki baat par donon
band karte hi aankh aane lage
ek-duje ko ab nazar donon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.