aap baiThe hain baalin pe meri maut ka zor chalta nahin hai
aap baiThe hain baalin pe meri maut ka zor chalta nahin hai
Fana bulandshahri
MORE BYFana bulandshahri
aap baiThe haiñ bālīñ pe merī maut kā zor chaltā nahīñ hai
maut mujh ko gavārā hai lekin kyā karūñ dam nikaltā nahīñ hai
ye adā ye nazākat bharā sin merā dil tum pe qurbān lekin
kyā sañbhāloge tum mere dil ko jab ye āñchal sañbhaltā nahīñ hai
mere nāloñ kī sun kar zabāneñ ho ga.ī mom kitnī chaTāneñ
maiñ ne pighlā diyā pattharoñ ko ik terā dil pighaltā nahīñ hai
shaiḳh jī kī nasīhat bhī achchhī baat vaa.iz kī bhī ḳhuub lekin
jab bhī chhātī haiñ kaalī ghaTā.eñ bin piye kaam chaltā nahīñ hai
dekh le merī mayyat kā manzar log kāñdhā badalte chale haiñ
ek terī bhī Dolī chalī hai koī kāñdhā badaltā nahīñ hai
mai-kade ke sabhī piine vaale laḌkhaḌā kar sañbhalte haiñ lekin
terī nazroñ kā jo jaam pī le umr-bhar vo sañbhaltā nahīñ hai
aap baiThe hain baalin pe meri maut ka zor chalta nahin hai
maut mujh ko gawara hai lekin kya karun dam nikalta nahin hai
ye ada ye nazakat bhara sin mera dil tum pe qurban lekin
kya sanbhaaloge tum mere dil ko jab ye aanchal sanbhalta nahin hai
mere nalon ki sun kar zabanen ho gai mom kitni chaTanen
main ne pighla diya pattharon ko ek tera dil pighalta nahin hai
shaiKH ji ki nasihat bhi achchhi baat waiz ki bhi KHub lekin
jab bhi chhati hain kali ghaTaen bin piye kaam chalta nahin hai
dekh le meri mayyat ka manzar log kandha badalte chale hain
ek teri bhi Doli chali hai koi kandha badalta nahin hai
mai-kade ke sabhi pine wale laDkhaDa kar sanbhalte hain lekin
teri nazron ka jo jam pi le umr-bhar wo sanbhalta nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.