aap bulaen hum na aaen aisi koi baat nahin
aap bulā.eñ ham na aa.eñ aisī koī baat nahīñ
duniyā vāloñ se Dar jaa.eñ aisī koī baat nahīñ
tere sivā haiñ is duniyā meñ apne bhī ġham-ḳhvār bahut
sab ko dil kā raaz sunā.eñ aisī koī baat nahīñ
rāh-e-vafā meñ ham ne yaaro saarī umr guzārī hai
chalte chalte Thokar khā.eñ aisī koī baat nahīñ
saare rishte saare bandhan pyaar ke ab tak qaa.em hai
un ko apne dil se bhulā.eñ aisī koī baat nahīñ
mīThī mīThī bāteñ karnā ham se bhī to aatī haiñ
lekin aap kā dil bahlā.eñ aisī koī baat nahīñ
terī judā.ī ġham kā aalam ye sab hai taqdīr kī den
ro ro kar ham ashk bahā.eñ aisī koī baat nahīñ
ġham ke maare is duniyā meñ 'ārif' ab tak zinda haiñ
ġham se tumhāre ham ghabrā.eñ aisī koī baat nahīñ
aap bulaen hum na aaen aisi koi baat nahin
duniya walon se Dar jaen aisi koi baat nahin
tere siwa hain is duniya mein apne bhi gham-KHwar bahut
sab ko dil ka raaz sunaen aisi koi baat nahin
rah-e-wafa mein hum ne yaro sari umr guzari hai
chalte chalte Thokar khaen aisi koi baat nahin
sare rishte sare bandhan pyar ke ab tak qaem hai
un ko apne dil se bhulaen aisi koi baat nahin
miThi miThi baaten karna hum se bhi to aati hain
lekin aap ka dil bahlaen aisi koi baat nahin
teri judai gham ka aalam ye sab hai taqdir ki den
ro ro kar hum ashk bahaen aisi koi baat nahin
gham ke mare is duniya mein 'arif' ab tak zinda hain
gham se tumhaare hum ghabraen aisi koi baat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.