aap danista jo katra ke guzar jate hain
aap dānista jo katrā ke guzar jaate haiñ
mere ehsās meñ sau dard utar jaate haiñ
paas aa kar bhī agar paas na aa.e koī
ham shab-e-vasl kī tanhā.ī meñ mar jaate haiñ
kyā ajab daur-e-pur-āshob hai jis meñ ai dost
log dastār bachāte haiñ to sar jaate haiñ
jab pasīne kā ḳharīdār na ho tab mazdūr
shaam ko nazreñ jhukā.e hue ghar jaate haiñ
zaḳhmī lafzoñ pe bhī hañs hañs ke agar daad mile
ham se shā.ir to usī vaqt hī mar jaate haiñ
apne mahbūb se milne ke liye roz 'sabīn'
tum ko ma.alūm hai ham chāñd-nagar jaate haiñ
aap danista jo katra ke guzar jate hain
mere ehsas mein sau dard utar jate hain
pas aa kar bhi agar pas na aae koi
hum shab-e-wasl ki tanhai mein mar jate hain
kya ajab daur-e-pur-ashob hai jis mein ai dost
log dastar bachate hain to sar jate hain
jab pasine ka KHaridar na ho tab mazdur
sham ko nazren jhukae hue ghar jate hain
zaKHmi lafzon pe bhi hans hans ke agar dad mile
hum se shair to usi waqt hi mar jate hain
apne mahbub se milne ke liye roz 'sabin'
tum ko malum hai hum chand-nagar jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.