aap dene ko kya nahin dete
aap dene ko kyā nahīñ dete
bas vafā kā sila nahīñ dete
raah un kī bahut kushāda hai
jo kabhī rāsta nahīñ dete
maiñ bhī rasman salām kartā huuñ
dil se vo bhī duā nahīñ dete
maiñ yahī sochtā huuñ maiñ aksar
vo mujhe kyuuñ bhulā nahīñ dete
sirf tujh ko pukārte haiñ ham
har kisī ko sadā nahīñ dete
un se 'jāved' jañg lāzim hai
haq kā jo faisla nahīñ dete
aap dene ko kya nahin dete
bas wafa ka sila nahin dete
rah un ki bahut kushada hai
jo kabhi rasta nahin dete
main bhi rasman salam karta hun
dil se wo bhi dua nahin dete
main yahi sochta hun main aksar
wo mujhe kyun bhula nahin dete
sirf tujh ko pukarte hain hum
har kisi ko sada nahin dete
un se 'jawed' jang lazim hai
haq ka jo faisla nahin dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.