aap dete nahin saza koi
aap dete nahīñ sazā koī
kis bharose kareñ ḳhatā koī
ab jo dekheñge aa.ina koī
pahle socheñge chuTkulā koī
maiñ ne masjid meñ jaanā chhoḌ diyā
roz mil jaatā thā ḳhudā koī
ro rahā huuñ maiñ bachchoñ kī mānind
aur bahlā nahīñ rahā koī
chhoḌ kar jā rahā huuñ ghar lekin
mujh ko samjhā nahīñ rahā koī
mar ga.e sab ḳhirad ke hamle meñ
dil meñ vahshī nahīñ bachā koī
aap dete nahin saza koi
kis bharose karen KHata koi
ab jo dekhenge aaina koi
pahle sochenge chuTkula koi
main ne masjid mein jaana chhoD diya
roz mil jata tha KHuda koi
ro raha hun main bachchon ki manind
aur bahla nahin raha koi
chhoD kar ja raha hun ghar lekin
mujh ko samjha nahin raha koi
mar gae sab KHirad ke hamle mein
dil mein wahshi nahin bacha koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.