aap dil jā kar jo zaḳhmī ho to mizhgāñ kyā kare
koī rakh de paañv ḳhud ḳhār-e-muġhīlāñ kyā kare
rāt-din hai san.at-e-haq kis tarah badleñ sanam
rū-e-zebā kyā kare zulf-e-pareshāñ kyā kare
ruuh ghabrā ke chalī dekhā jo ham ko muztarib
mezbāñ ho jab pareshāñ rah ke mehmāñ kyā kare
dam nahīñ tan se nikaltā kaT chukā bilkul galā
saḳht-jānī ko hamārī teġh-e-jānāñ kyā kare
tīra-baḳhtī se hai shikva muflisī se hai gila
raushnī mumkin nahīñ shām-e-ġharībāñ kyā kare
zaḳhm-e-dil gahrā bahut hai kis tarah Tāñkā lage
yaañ rafū kī jā nahīñ tār-e-garebāñ kyā kare
apnī vahshat se hai shikva dūsre se kyā gila
ham se jab baiThā na jaa.e kū-e-jānāñ kyā kare
aap dil ja kar jo zaKHmi ho to mizhgan kya kare
koi rakh de panw KHud KHar-e-mughilan kya kare
raat-din hai sanat-e-haq kis tarah badlen sanam
ru-e-zeba kya kare zulf-e-pareshan kya kare
ruh ghabra ke chali dekha jo hum ko muztarib
mezban ho jab pareshan rah ke mehman kya kare
dam nahin tan se nikalta kaT chuka bilkul gala
saKHt-jaani ko hamari tegh-e-jaanan kya kare
tira-baKHti se hai shikwa muflisi se hai gila
raushni mumkin nahin sham-e-ghariban kya kare
zaKHm-e-dil gahra bahut hai kis tarah Tanka lage
yan rafu ki ja nahin tar-e-gareban kya kare
apni wahshat se hai shikwa dusre se kya gila
hum se jab baiTha na jae ku-e-jaanan kya kare
Source :
- Book : Gulistan-e-Rasheed (Pg. ghazal-83 page-80)
- Author : Piyare Sahab Rasheed
- Edition : 1952
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.