aap hain be-gunah kya kahna
aap haiñ be-gunāh kyā kahnā
kyā safā.ī hai vaah kyā kahnā
us se hāl-e-tabāh kyā kahnā
jo kahe sun ke vaah kyā kahnā
hashr meñ ye unheñ na.ī sūjhī
ban ga.e dād-ḳhvāh kyā kahnā
'uzr karnā sitam ke baad tumheñ
ḳhuub aatā hai vaah kyā kahnā
tum na roko nigāh ko apnī
ham kareñ zabt-e-āh kyā kahnā
tujh se achchhe kahāñ zamāne meñ
vaah ai rashk-e-māh kyā kahnā
ġhair par lutf-e-ḳhās kā iz.hār
mujh se TeḌhī nigāh kyā kahnā
ġhair se maañg kar subūt-e-vafā
ban ga.e ḳhud gavāh kyā kahnā
dil bhī le kar nahīñ yaqīn-e-vafā
hai abhī ishtibāh kyā kahnā
balbe chitvan tirī ma.āz-allāh
uf re TeḌhī nigāh kyā kahnā
un gunoñ par najāt kī ummīd
'be-ḳhud'-e-rū-siyāh kyā kahnā
aap hain be-gunah kya kahna
kya safai hai wah kya kahna
us se haal-e-tabah kya kahna
jo kahe sun ke wah kya kahna
hashr mein ye unhen nai sujhi
ban gae dad-KHwah kya kahna
'uzr karna sitam ke baad tumhein
KHub aata hai wah kya kahna
tum na roko nigah ko apni
hum karen zabt-e-ah kya kahna
tujh se achchhe kahan zamane mein
wah ai rashk-e-mah kya kahna
ghair par lutf-e-KHas ka izhaar
mujh se TeDhi nigah kya kahna
ghair se mang kar subut-e-wafa
ban gae KHud gawah kya kahna
dil bhi le kar nahin yaqin-e-wafa
hai abhi ishtibah kya kahna
balbe chitwan teri maaz-allah
uf re TeDhi nigah kya kahna
un gunon par najat ki ummid
'be-KHud'-e-ru-siyah kya kahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.