aap hamare sath nahin
aap hamāre saath nahīñ
chaliye koī baat nahīñ
aap kisī ke ho jaa.eñ
aap ke bas kī baat nahīñ
ab ham ko āvāz na do
ab aise hālāt nahīñ
is duniyā ke naqshe meñ
shahr to haiñ dehāt nahīñ
sab hai gavārā ham ko magar
tauhīn-e-jazbāt nahīñ
ham ko miTānā mushkil hai
sadiyāñ haiñ lamhāt nahīñ
zālim se Darne vaale
kyā tere do haath nahīñ
aap hamare sath nahin
chaliye koi baat nahin
aap kisi ke ho jaen
aap ke bas ki baat nahin
ab hum ko aawaz na do
ab aise haalat nahin
is duniya ke naqshe mein
shahr to hain dehat nahin
sab hai gawara hum ko magar
tauhin-e-jazbaat nahin
hum ko miTana mushkil hai
sadiyan hain lamhat nahin
zalim se Darne wale
kya tere do hath nahin
- Book : Kashkol (Pg. 89)
- Author : Tahir Faraz
- Publication : Isteara Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.