Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aap hi se na jab raha matlab

Hafeez Jaunpuri

aap hi se na jab raha matlab

Hafeez Jaunpuri

MORE BYHafeez Jaunpuri

    aap se na jab rahā matlab

    phir raqīboñ se mujh ko kyā matlab

    aarzū mere dil bar aa.e

    sab puurā kare ḳhudā matlab

    kar na mujh ko subuk raqīboñ meñ

    yuuñ hañsī meñ na to uḌā matlab

    ruk ga.ī baat tā-zabāñ aa kar

    dil dil meñ rah gayā matlab

    zid zid shaiḳh o barhaman thī

    varna donoñ ek thā matlab

    merī ik baat meñ haiñ sau pahlū

    aur sab judā judā matlab

    ġhair aur is qadar tārīf

    ham samajhte haiñ aap matlab

    aglī bātoñ zikr jaane do

    aaj is tazkire se kyā matlab

    ḳhush ho nā-faham bhī samajh ke 'hafīz'

    saaf aisā ho sher matlab

    aap hi se na jab raha matlab

    phir raqibon se mujh ko kya matlab

    aarzu mere dil ki bar aae

    sab ka pura kare KHuda matlab

    kar na mujh ko subuk raqibon mein

    yun hansi mein na to uDa matlab

    ruk gai baat ta-zaban aa kar

    dil ka dil hi mein rah gaya matlab

    zid hi zid shaiKH o barhaman ki thi

    warna donon ka ek tha matlab

    meri ek baat mein hain sau pahlu

    aur sab ka juda juda matlab

    ghair ki aur is qadar tarif

    hum samajhte hain aap ka matlab

    agli baaton ka zikr jaane do

    aaj is tazkire se kya matlab

    KHush ho na-faham bhi samajh ke 'hafiz'

    saf aisa ho sher ka matlab

    Source:

    Diwan-e-Hafeez(Rekhta Website) (Pg. 37)

    • Author: Hafeez Jaunpuri
      • Edition: 1903
      • Publisher: Matba Hakeem,Gorakhpur
      • Year of Publication: 1903
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now