aap jab aae to jine ki ada bhi aai
aap jab aa.e to jiine kī adā bhī aa.ī
yak-ba-yak dil ke dhaḌakne kī sadā bhī aa.ī
uTh ga.ī aañkh to kaliyoñ ne bhī āñkheñ kholīñ
khul ga.ī zulf to lahrā ke ghaTā bhī aa.ī
terī zulfoñ kī mahak hī abhī laa.ī thī sabā
ki lahak kar tire dāman kī havā bhī aa.ī
abhī jaagā bhī na thā tere tasavvur kā fusūñ
ki achānak tire qadmoñ kī sadā bhī aa.ī
abhī baḳhshā bhī na thā lab ne tire āb-e-hayāt
ki qazā ban ke nigāhoñ meñ hayā bhī aa.ī
aql kahtī hī rahī aur mohabbat baḌh kar
zindagānī tire kūche meñ luTā bhī aa.ī
dil isī soch meñ gum hai ki kahūñ yā na kahūñ
nigah-e-shauq vo afsāna sunā bhī aa.ī
dāvar-e-hashr to ik soch meñ baiThā hī rahā
terī raftār ka.ī hashr uThā bhī aa.ī
aap jab aae to jine ki ada bhi aai
yak-ba-yak dil ke dhaDakne ki sada bhi aai
uTh gai aankh to kaliyon ne bhi aankhen kholin
khul gai zulf to lahra ke ghaTa bhi aai
teri zulfon ki mahak hi abhi lai thi saba
ki lahak kar tere daman ki hawa bhi aai
abhi jaga bhi na tha tere tasawwur ka fusun
ki achanak tere qadmon ki sada bhi aai
abhi baKHsha bhi na tha lab ne tere aab-e-hayat
ki qaza ban ke nigahon mein haya bhi aai
aql kahti hi rahi aur mohabbat baDh kar
zindagani tere kuche mein luTa bhi aai
dil isi soch mein gum hai ki kahun ya na kahun
nigah-e-shauq wo afsana suna bhi aai
dawar-e-hashr to ek soch mein baiTha hi raha
teri raftar kai hashr uTha bhi aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.