aap jaison ke liye is mein rakha kuchh bhi nahin
aap jaisoñ ke liye is meñ rakhā kuchh bhī nahīñ
lekin aisā to na kahiye ki vafā kuchh bhī nahīñ
aap kahiye to nibhāte chale jā.eñge magar
is ta.alluq meñ aziyyat ke sivā kuchh bhī nahīñ
maiñ kisī tarah bhī samjhauta nahīñ kar saktā
yā to sab kuchh hī mujhe chāhiye yā kuchh bhī nahīñ
kaise jaanā hai kahāñ jaanā hai kyuuñ jaanā hai
ham ki chalte chale jaate haiñ patā kuchh bhī nahīñ
haa.e is shahr kī raunaq ke maiñ sadqe jā.ūñ
aisī bharpūr hai jaise ki huā kuchh bhī nahīñ
phir koī taaza suḳhan dil meñ jagah kartā hai
jab bhī lagtā hai ki likhne ko bachā kuchh bhī nahīñ
ab maiñ kyā apnī mohabbat kā bharam bhī na rakhūñ
maan letā huuñ ki us shaḳhs meñ thā kuchh bhī nahīñ
maiñ ne duniyā se alag rah ke bhī dekhā 'javvād'
aisī muñh-zor udāsī kī davā kuchh bhī nahīñ
aap jaison ke liye is mein rakha kuchh bhi nahin
lekin aisa to na kahiye ki wafa kuchh bhi nahin
aap kahiye to nibhate chale jaenge magar
is talluq mein aziyyat ke siwa kuchh bhi nahin
main kisi tarah bhi samjhauta nahin kar sakta
ya to sab kuchh hi mujhe chahiye ya kuchh bhi nahin
kaise jaana hai kahan jaana hai kyun jaana hai
hum ki chalte chale jate hain pata kuchh bhi nahin
hae is shahr ki raunaq ke main sadqe jaun
aisi bharpur hai jaise ki hua kuchh bhi nahin
phir koi taza suKHan dil mein jagah karta hai
jab bhi lagta hai ki likhne ko bacha kuchh bhi nahin
ab main kya apni mohabbat ka bharam bhi na rakhun
man leta hun ki us shaKHs mein tha kuchh bhi nahin
main ne duniya se alag rah ke bhi dekha 'jawwad'
aisi munh-zor udasi ki dawa kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.