aap jis se kalam karte hain
aap jis se kalām karte haiñ
niiñd us kī harām karte haiñ
āstīñ meñ chhupā.e haiñ ḳhanjar
muñh se vo raam raam karte haiñ
ishq kā rog un ke bas kā nahīñ
duur se vo salām karte haiñ
dil se majbūr tere dīvāne
ik jagah kab qayām karte haiñ
dast-o-bāzū ke daur meñ to 'ra.īs'
kaam se log naam karte haiñ
aap jis se kalam karte hain
nind us ki haram karte hain
aastin mein chhupae hain KHanjar
munh se wo ram ram karte hain
ishq ka rog un ke bas ka nahin
dur se wo salam karte hain
dil se majbur tere diwane
ek jagah kab qayam karte hain
dast-o-bazu ke daur mein to 'rais'
kaam se log nam karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.