aap jo dard-e-dil ki dawa de gae
aap jo dard-e-dil kī davā de ga.e
mujh ko jiine kā ik mudda.ā de ga.e
maiñ ne pūchhā mirā aasrā kaun hai
likh ke kāġhaz pe lafz-e-ḳhudā de ga.e
maiñ jiyūñ tā-qayāmat qayāmat hai ye
vo duā meñ nihāñ badduā de ga.e
pāra-pāra dikhūñ is liye vo mujhe
ek TuuTā huā aa.ina de ga.e
hijr meñ maiñ jiyūñ hijr se maiñ marūñ
mere munsif mirā faisla de ga.e
aap jo dard-e-dil ki dawa de gae
mujh ko jine ka ek muddaa de gae
main ne puchha mera aasra kaun hai
likh ke kaghaz pe lafz-e-KHuda de gae
main jiyun ta-qayamat qayamat hai ye
wo dua mein nihan baddua de gae
para-para dikhun is liye wo mujhe
ek TuTa hua aaina de gae
hijr mein main jiyun hijr se main marun
mere munsif mera faisla de gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.