aap ka etibar karta hun
aap kā e'tibār kartā huuñ
ye ḳhatā baar baar kartā huuñ
be-ta.alluq sā ik ta.alluq hai
jis ta.alluq ko pyaar kartā huuñ
ham haiñ aur justujū-e-manzil hai
muddatoñ intizār kartā huuñ
kārvāñ zindagī kā guzrā hai
intizār-e-ġhubār kartā huuñ
maut nā-mo'tabar sī lagtī hai
umr kā e'tibār kartā huuñ
baat jab hai ki sharm rah jaa.e
tauba yuuñ to hazār kartā huuñ
apne par iḳhtiyār hai sab ko
yaad be-iḳhtiyār kartā huuñ
laġhzisheñ zindagī kī mat pūchho
pahroñ baiThā shumār kartā huuñ
juz nadāmat ke kuchh nahīñ miltā
nazreñ jab ḳhud se chaar kartā huuñ
merā apnā hī saaya hai 'ashraf'
jaan jis par nisār kartā huuñ
aap ka e'tibar karta hun
ye KHata bar bar karta hun
be-talluq sa ek talluq hai
jis talluq ko pyar karta hun
hum hain aur justuju-e-manzil hai
muddaton intizar karta hun
karwan zindagi ka guzra hai
intizar-e-ghubar karta hun
maut na-mo'tabar si lagti hai
umr ka e'tibar karta hun
baat jab hai ki sharm rah jae
tauba yun to hazar karta hun
apne par iKHtiyar hai sab ko
yaad be-iKHtiyar karta hun
laghzishen zindagi ki mat puchho
pahron baiTha shumar karta hun
juz nadamat ke kuchh nahin milta
nazren jab KHud se chaar karta hun
mera apna hi saya hai 'ashraf'
jaan jis par nisar karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.