aap ka intizar achchha laga
aap kā intizār achchhā lagā
dil ko ye e'tibār achchhā lagā
aap ko dekh kar kahā dil ne
husn kā shāhkār achchhā lagā
aap aa.e mizāj-pursī ko
aaj apnā buḳhār achchhā lagā
tujh ko dekhā to dil meñ phuul khile
ai ġhurūr-e-bahār achchhā lagā
tū ne jo merī dil-navāzī kī
ai mire ġham-gusār achchhā lagā
aap ka intizar achchha laga
dil ko ye e'tibar achchha laga
aap ko dekh kar kaha dil ne
husn ka shahkar achchha laga
aap aae mizaj-pursi ko
aaj apna buKHar achchha laga
tujh ko dekha to dil mein phul khile
ai ghurur-e-bahaar achchha laga
tu ne jo meri dil-nawazi ki
ai mere gham-gusar achchha laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.