aap ka intizar rahta hai
aap kā intizār rahtā hai
dil bahut be-qarār rahtā hai
ye sifat hai sharāb-e-ulfat meñ
zindagī bhar ḳhumār rahtā hai
kuchh ḳhabar bhī hai tere kūche meñ
koī ummīd-vār rahtā hai
aap ke dar pe raat din hāzir
aap kā jāñ-nisār rahtā hai
hāl-e-dil ishq meñ nahīñ chhuptā
shakl se āshkār rahtā hai
dil mirā kyoñ na rashk-e-jannat ho
is meñ koī nigār rahtā hai
zindagī se to bhar gayā hai dil
maut kā intizār rahtā hai
chaar hotī haiñ un se jab nazreñ
dil pe kab iḳhtiyār rahtā hai
jis ko pās-e-zabāñ nahīñ hotā
sab kī nazroñ meñ ḳhaar rahtā hai
dil kahāñ pheñk duuñ kise de duuñ
ye bahut be-qarār rahtā hai
yaad hai vo nigāh-e-mast ab tak
be-piye hī ḳhumār rahtā hai
phir kisī ke firāq meñ 'hājir'
raat din ashk-bār rahtā hai
aap ka intizar rahta hai
dil bahut be-qarar rahta hai
ye sifat hai sharab-e-ulfat mein
zindagi bhar KHumar rahta hai
kuchh KHabar bhi hai tere kuche mein
koi ummid-war rahta hai
aap ke dar pe raat din hazir
aap ka jaan-nisar rahta hai
haal-e-dil ishq mein nahin chhupta
shakl se aashkar rahta hai
dil mera kyon na rashk-e-jannat ho
is mein koi nigar rahta hai
zindagi se to bhar gaya hai dil
maut ka intizar rahta hai
chaar hoti hain un se jab nazren
dil pe kab iKHtiyar rahta hai
jis ko pas-e-zaban nahin hota
sab ki nazron mein KHar rahta hai
dil kahan phenk dun kise de dun
ye bahut be-qarar rahta hai
yaad hai wo nigah-e-mast ab tak
be-piye hi KHumar rahta hai
phir kisi ke firaq mein 'hajir'
raat din ashk-bar rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.