aap ka sath bhi agar hota
aap kā saath bhī agar hotā
kitnā āsān ye safar hotā
aap ke dil meñ kuchh jagah miltī
to ye banda na dar-ba-dar hotā
dil kisī aur ko bhī de dete
aap jaisā koī agar hotā
dil to hotā nahīñ butoñ ke paas
sar bhī hai āsmān par hotā
jaan taskīn se nikal jaatī
jiite jī faisla agar hotā
aao DhūñDheñ 'sadā' na.ī duniyā
is jahāñ meñ nahīñ guzar hotā
aap ka sath bhi agar hota
kitna aasan ye safar hota
aap ke dil mein kuchh jagah milti
to ye banda na dar-ba-dar hota
dil kisi aur ko bhi de dete
aap jaisa koi agar hota
dil to hota nahin buton ke pas
sar bhi hai aasman par hota
jaan taskin se nikal jati
jite ji faisla agar hota
aao DhunDhen 'sada' nai duniya
is jahan mein nahin guzar hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.