aap ke dar se hum uTh kar jaen kya
aap ke dar se ham uTh kar jaa.eñ kyā
kyā kareñ batlā.īye mar jaa.eñ kyā
tīr-o-nashtar paar dil ke ho ga.e
chiir kar siina tumheñ dikhlā.eñ kyā
ārzūeñ ashk ban kar bah ga.iiñ
ab kaho ham kyā kareñ mar jaa.eñ kyā
aap ne to kah diyā batlā.iye
dil hī pahlū meñ nahīñ batlā.eñ kyā
aap ne 'farmān' se dhokā kiyā
ye kahānī phir se ham dohrā.eñ kyā
aap ke dar se hum uTh kar jaen kya
kya karen batlaiye mar jaen kya
tir-o-nashtar par dil ke ho gae
chir kar sina tumhein dikhlaen kya
aarzuen ashk ban kar bah gain
ab kaho hum kya karen mar jaen kya
aap ne to kah diya batlaiye
dil hi pahlu mein nahin batlaen kya
aap ne 'farman' se dhoka kiya
ye kahani phir se hum dohraen kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.