aap ke dil ko mere dil se kahin pyar na ho
aap ke dil ko mire dil se kahīñ pyaar na ho
zindagī merī tarah aap kī dushvār na ho
mānñe se mirī Dar hai unheñ inkār na ho
ye mirī arz-e-tamannā kahīñ be-kār na ho
shauq se rabt-e-mohabbat ko baḌhā.eñ lekin
had se baḌh kar ye mohabbat kahīñ āzār na ho
zindagī rashk ke qābil ho mohabbat meñ agar
dil kī har baat pe iqrār ho inkār na ho
mere armānoñ kī duniyā kā ḳhudā-hāfiz ho
aap ke dil meñ agar jazba-e-īsār na ho
aish chūmegā qadam rañj ke din Talne de
mere dil un kī mohabbat se tū bezār na ho
zindagī yuuñ hī bhaTaktī rahe manzil ke liye
ek se ek ko duniyā meñ agar pyaar na ho
hijr ke ab to tasavvur se hī dam ghuTtā hai
meñ to mar jā.ūñ jo pahlū meñ mire yaar na ho
maiñ samajhtā huuñ vafādār-e-mohabbat us ko
jo mohabbat meñ vafāoñ kā talabgār na ho
rabt kī chāshnī kā kirkirā ho jaa.e maza
lutf-āmez mohabbat meñ jo takrār na ho
us pe hote haiñ zamāne ke karam ai 'afzal'
ik zarā se jo karam kā bhī ravādār na ho
aap ke dil ko mere dil se kahin pyar na ho
zindagi meri tarah aap ki dushwar na ho
manne se meri Dar hai unhen inkar na ho
ye meri arz-e-tamanna kahin be-kar na ho
shauq se rabt-e-mohabbat ko baDhaen lekin
had se baDh kar ye mohabbat kahin aazar na ho
zindagi rashk ke qabil ho mohabbat mein agar
dil ki har baat pe iqrar ho inkar na ho
mere armanon ki duniya ka KHuda-hafiz ho
aap ke dil mein agar jazba-e-isar na ho
aish chumega qadam ranj ke din Talne de
mere dil un ki mohabbat se tu bezar na ho
zindagi yun hi bhaTakti rahe manzil ke liye
ek se ek ko duniya mein agar pyar na ho
hijr ke ab to tasawwur se hi dam ghuTta hai
mein to mar jaun jo pahlu mein mere yar na ho
main samajhta hun wafadar-e-mohabbat us ko
jo mohabbat mein wafaon ka talabgar na ho
rabt ki chashni ka kirkira ho jae maza
lutf-amez mohabbat mein jo takrar na ho
us pe hote hain zamane ke karam ai 'afzal'
ek zara se jo karam ka bhi rawadar na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.