aap ke zauq-e-sitam ka gham nahin
aap ke zauq-e-sitam kā ġham nahīñ
haañ magar ab zindagī meñ dam nahīñ
ai jafā-e-dost ye bhī kam nahīñ
dard ab bhī hai magar ab ġham nahīñ
is meñ paḌh letā huuñ tafsīr-e-hayāt
ye mirā dil hai ye jām-e-jam nahīñ
aadmī kī ḳhud-farebī al-amān
aur apne dukh bhī ab mahram nahīñ
in meñ shāmil hai mire dil kī tapish
ashk haiñ ye qatra-e-shabnam nahīñ
tark-e-mai se aur bhī aayā surūr
hosh bhī mad.hoshiyoñ se kam nahīñ
'maikash' un kī nargisī āñkhoñ kā vaar
kitnā qātil hai agarche sam nahīñ
aap ke zauq-e-sitam ka gham nahin
han magar ab zindagi mein dam nahin
ai jafa-e-dost ye bhi kam nahin
dard ab bhi hai magar ab gham nahin
is mein paDh leta hun tafsir-e-hayat
ye mera dil hai ye jam-e-jam nahin
aadmi ki KHud-farebi al-aman
aur apne dukh bhi ab mahram nahin
in mein shamil hai mere dil ki tapish
ashk hain ye qatra-e-shabnam nahin
tark-e-mai se aur bhi aaya surur
hosh bhi madhoshiyon se kam nahin
'maikash' un ki nargisi aankhon ka war
kitna qatil hai agarche sam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.