aap ki tanqis par tikhe hue
aap kī tanqīs par tīkhe hue
varna ham bhī the kabhī suljhe hue
tum bhī ho merī tarah bikhre hue
kah rahe haiñ aa.ine TuuTe hue
jin ke saaya meñ ho tum baiThe hue
vo shajar vo peḌ haiñ sūkhe hue
ruk chukī hai saañs ab kaahe kī aas
zindagī ke ḳhatm sab qisse hue
ho gayā sūraj ġhurūb aur aa.ī raat
rāste sab gaañv ke suune hue
aap ki tanqis par tikhe hue
warna hum bhi the kabhi suljhe hue
tum bhi ho meri tarah bikhre hue
kah rahe hain aaine TuTe hue
jin ke saya mein ho tum baiThe hue
wo shajar wo peD hain sukhe hue
ruk chuki hai sans ab kahe ki aas
zindagi ke KHatm sab qisse hue
ho gaya suraj ghurub aur aai raat
raste sab ganw ke sune hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.