aap ki yaad umr bhar aai
aap kī yaad umr bhar aa.ī
ham bhulāyā kiye magar aa.ī
dil kī har choT phir ubhar aa.ī
dekh kar un ko aañkh bhar aa.ī
kis ne tum ko bhulā diyā pyāre
aa.ī yaad aur umr bhar aa.ī
jab kisī meherbāñ ne pūchhā haal
dil dhaḌak uTThā aañkh bhar aa.ī
laakh iḳhfā-e-ġham karoge magar
kyā karoge jo aañkh bhar aa.ī
kar to leñ ham sharāb se tauba
phir tabī.at jo raah par aa.ī
tāb-e-ġham laa.e kis kā thā ye jigar
ye balā āshiqoñ ke sar aa.ī
kyoñ qadam Dagmagā.e jaate haiñ
ham-safar kis kī rahguzar aa.ī
sun ke 'nāshād' pyaar kī bāteñ
yaad kyā aa.ī aañkh bhar aa.ī
aap ki yaad umr bhar aai
hum bhulaya kiye magar aai
dil ki har choT phir ubhar aai
dekh kar un ko aankh bhar aai
kis ne tum ko bhula diya pyare
aai yaad aur umr bhar aai
jab kisi meherban ne puchha haal
dil dhaDak uTTha aankh bhar aai
lakh iKHfa-e-gham karoge magar
kya karoge jo aankh bhar aai
kar to len hum sharab se tauba
phir tabiat jo rah par aai
tab-e-gham lae kis ka tha ye jigar
ye bala aashiqon ke sar aai
kyon qadam Dagmagae jate hain
ham-safar kis ki rahguzar aai
sun ke 'nashad' pyar ki baaten
yaad kya aai aankh bhar aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.