aapko dekh kar dekhta rah gaya
aap ko dekh kar dekhtā rah gayā
kyā kahūñ aur kahne ko kyā rah gayā
baat kyā hai ki sab ġharq-e-dariyā hue
ik ḳhudā rah gayā nāḳhudā rah gayā
soch kar aao kū-e-tamannā hai ye
jān-e-man jo yahāñ rah gayā rah gayā
dil ke vahshat-sarā se ḳhudā jaane kyoñ
sab ga.e ek dāġh-e-vafā rah gayā
un kī āñkhoñ se kaise chhalakne lagā
mere hoñToñ pe jo mājrā rah gayā
aise bichhḌe sabhī raat ke moḌ par
āḳhirī ham-safar rāsta rah gayā
aap ko dekh kar dekhta rah gaya
kya kahun aur kahne ko kya rah gaya
baat kya hai ki sab gharq-e-dariya hue
ek KHuda rah gaya naKHuda rah gaya
soch kar aao ku-e-tamanna hai ye
jaan-e-man jo yahan rah gaya rah gaya
dil ke wahshat-sara se KHuda jaane kyon
sab gae ek dagh-e-wafa rah gaya
un ki aankhon se kaise chhalakne laga
mere honTon pe jo majra rah gaya
aise bichhDe sabhi raat ke moD par
aaKHiri ham-safar rasta rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.