aapko ghair se ulfat ho gai
aap ko ġhair se ulfat ho ga.ī
haañ jabhī to mujh se nafrat ho ga.ī
in butoñ se tark-e-ulfat ho ga.ī
mujh pe ḳhāliq kī ināyat ho ga.ī
hijr meñ us ke ye vahshat ho ga.ī
apne saa.e se bhī nafrat ho ga.ī
ḳhvāb meñ un kī ziyārat ho ga.ī
aaj puurī dil kī hasrat ho ga.ī
chaliye jhagḌoñ se farāġhat ho ga.ī
jaan apnī nazr-e-furqat ho ga.ī
hijr meñ mujh pe jo kuchh guzrī na pūchh
ho ga.ī jo merī hālat ho ga.ī
had tirī jaur-o-jafā-o-zulm kī
ho ga.ī o be-muravvat ho ga.ī
ab to vo sūrat bhī dikhlāte nahīñ
chaar din sāhab-salāmat ho ga.ī
mujh ko ik din hai bajā.e ek saal
aap kī duurī qayāmat ho ga.ī
jaan dī nāhaq ko maiñ ne hijr meñ
muft us but se nadāmat ho ga.ī
dī ye saaqī ne mujhe kaisī sharāb
bad-maza merī tabī.at ho ga.ī
ġhaur se sunte haiñ ik ik harf vo
dāstān-e-ġham hikāyat ho ga.ī
sach kahā ai dil butoñ ke zulm se
jaan aajiz fil-haqīqat ho ga.ī
us ke kūche kī gadā.ī ai 'fahīm'
mere haq meñ bādshāhat ho ga.ī
aap ko ghair se ulfat ho gai
han jabhi to mujh se nafrat ho gai
in buton se tark-e-ulfat ho gai
mujh pe KHaliq ki inayat ho gai
hijr mein us ke ye wahshat ho gai
apne sae se bhi nafrat ho gai
KHwab mein un ki ziyarat ho gai
aaj puri dil ki hasrat ho gai
chaliye jhagDon se faraghat ho gai
jaan apni nazr-e-furqat ho gai
hijr mein mujh pe jo kuchh guzri na puchh
ho gai jo meri haalat ho gai
had teri jaur-o-jafa-o-zulm ki
ho gai o be-murawwat ho gai
ab to wo surat bhi dikhlate nahin
chaar din sahab-salamat ho gai
mujh ko ek din hai bajae ek sal
aap ki duri qayamat ho gai
jaan di nahaq ko main ne hijr mein
muft us but se nadamat ho gai
di ye saqi ne mujhe kaisi sharab
bad-maza meri tabiat ho gai
ghaur se sunte hain ek ek harf wo
dastan-e-gham hikayat ho gai
sach kaha ai dil buton ke zulm se
jaan aajiz fil-haqiqat ho gai
us ke kuche ki gadai ai 'fahim'
mere haq mein baadshahat ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.