aapko jis pe pyar aa jae
aap ko jis pe pyaar aa jaa.e
us ke dil ko qarār aa jaa.e
terī chashm-e-karam ke sadqe meñ
umr-bhar kā ḳhumār aa jaa.e
tum udhar aur maiñ idhar tanhā
kaise dil ko qarār aa jaa.e
un kī abrū kī baat niklī hai
kund ḳhanjar pe dhaar aa jaa.e
sher meñ talḳhiyāñ bharo 'aḳhtar'
phir ġhazal par nikhār aa jaa.e
aap ko jis pe pyar aa jae
us ke dil ko qarar aa jae
teri chashm-e-karam ke sadqe mein
umr-bhar ka KHumar aa jae
tum udhar aur main idhar tanha
kaise dil ko qarar aa jae
un ki abru ki baat nikli hai
kund KHanjar pe dhaar aa jae
sher mein talKHiyan bharo 'aKHtar'
phir ghazal par nikhaar aa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.