aapko kyun nahin laga patthar
aap ko kyuuñ nahīñ lagā patthar
kaise nākām ho gayā patthar
laḌkiyāñ ḳhāmushī se baiThī huiiñ
haa.e vo boltā huā patthar
TūTnā Thokaroñ se behtar thā
phuul kyā soch kar banā patthar
aa.ine TuuT kar bikhar bhī ga.e
aur vo DhūñDhtā rahā patthar
mere hisse meñ saḳhtiyāñ aa.iiñ
har kisī ne mujhe kahā patthar
ek hī zindagī meñ dūsrā pyaar
ek raste meñ dūsrā patthar
majnūñ ik aisā raaz hai 'zahrā'
jis ne samjhā use paḌā patthar
aap ko kyun nahin laga patthar
kaise nakaam ho gaya patthar
laDkiyan KHamushi se baiThi huin
hae wo bolta hua patthar
TuTna Thokaron se behtar tha
phul kya soch kar bana patthar
aaine TuT kar bikhar bhi gae
aur wo DhunDhta raha patthar
mere hisse mein saKHtiyan aain
har kisi ne mujhe kaha patthar
ek hi zindagi mein dusra pyar
ek raste mein dusra patthar
majnun ek aisa raaz hai 'zahra'
jis ne samjha use paDa patthar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.