aapko mujhse mohabbat bhi nahin
aap ko mujh se mohabbat bhī nahīñ
aur ''nahīñ'' kahne kī jur.at bhī nahīñ
jaate haiñ mahfil se merī jā.iye
roknā kuchh merī fitrat bhī nahīñ
munhasir jis pe ho merī zindagī
tū ne kī aisī mohabbat bhī nahīñ
bevafā kī ham-rahī se fā.eda?
aur ab chalne kī himmat bhī nahīñ
jo kabhī dīvār pe laTkā.ī thī
ab tire kamre kī zīnat bhī nahīñ
maiñ kisī ko chhoḌ duuñ tere liye
tujh se kuchh aisī to qurbat bhī nahīñ
'ḳhushtar' is mehñdī lage hāthoñ kī ab
jaane kyuuñ pahlī sī rañgat bhī nahīñ
aap ko mujh se mohabbat bhi nahin
aur nahin kahne ki jurat bhi nahin
jate hain mahfil se meri jaiye
rokna kuchh meri fitrat bhi nahin
munhasir jis pe ho meri zindagi
tu ne ki aisi mohabbat bhi nahin
bewafa ki ham-rahi se faeda?
aur ab chalne ki himmat bhi nahin
jo kabhi diwar pe laTkai thi
ab tere kamre ki zinat bhi nahin
main kisi ko chhoD dun tere liye
tujh se kuchh aisi to qurbat bhi nahin
'KHushtar' is mehndi lage hathon ki ab
jaane kyun pahli si rangat bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.