aapko ujla dikhe kala dikhe
aap ko ujlā dikhe kaalā dikhe
sach to sach hai chāhe vo jaisā dikhe
zulf-e-jānāñ dīda-e-nam dard-e-dil
in se bāhar aa.eñ to duniyā dikhe
aañkh ke andhe ko phir bhī aql hai
aql ke andhe ko sab ulTā dikhe
mujh ko apne-āp sā lagtā hai vo
raah chalte jab koī rotā dikhe
huuñ pashemāñ maiñ gunahgār apnā muñh
pher letā huuñ jo ā.īna dikhe
ḳhuub hai duniyā kī ye jādūgarī
vo nahīñ hotā hai jo hotā dikhe
aap ko ujla dikhe kala dikhe
sach to sach hai chahe wo jaisa dikhe
zulf-e-jaanan dida-e-nam dard-e-dil
in se bahar aaen to duniya dikhe
aankh ke andhe ko phir bhi aql hai
aql ke andhe ko sab ulTa dikhe
mujh ko apne-ap sa lagta hai wo
rah chalte jab koi rota dikhe
hun pasheman main gunahgar apna munh
pher leta hun jo aaina dikhe
KHub hai duniya ki ye jadugari
wo nahin hota hai jo hota dikhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.