aapko usne ab tarasha hai
aap ko us ne ab tarāshā hai
qahr hai zulm hai tamāshā hai
us ko lete baġhal meñ Dartā huuñ
nāzukī meñ vo shīsha bāshā hai
kyuuñ kahūñ apne sīm-tan kā haal
gaah tola hai gaah māshā hai
tire kūche se uTh nahīñ saktā
kis vafā-kushta kā ye lāsha hai
gar farishta bhī ho 'hasan' to vahāñ
gaalī aur jhiḌkī be-tahāshā hai
aap ko us ne ab tarasha hai
qahr hai zulm hai tamasha hai
us ko lete baghal mein Darta hun
nazuki mein wo shisha basha hai
kyun kahun apne sim-tan ka haal
gah tola hai gah masha hai
tere kuche se uTh nahin sakta
kis wafa-kushta ka ye lasha hai
gar farishta bhi ho 'hasan' to wahan
gali aur jhiDki be-tahasha hai
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.