aap kyun baiThe hain ghusse mein meri jaan bhare
aap kyuuñ baiThe haiñ ġhusse meñ mirī jaan bhare
ye to farmā.iye kyā zulf ne kuchh kaan bhare
jaan se jaa.e agar aap ko chāhe koī
dam nikal jaa.e jo dam aap kā insān bhare
liye phirte haiñ ham apne jigar-o-dil donoñ
ek meñ dard bhare ek meñ armān bhare
dāman-e-dasht ne aañsū bhī na pūchhe afsos
maiñ ne ro ro ke lahū saikḌoñ maidān bhare
teġh-e-qātil ko gale se jo lagāyā 'muztar'
khiñch ke bolī ki baḌe aa.e tum armān bhare
aap kyun baiThe hain ghusse mein meri jaan bhare
ye to farmaiye kya zulf ne kuchh kan bhare
jaan se jae agar aap ko chahe koi
dam nikal jae jo dam aap ka insan bhare
liye phirte hain hum apne jigar-o-dil donon
ek mein dard bhare ek mein arman bhare
daman-e-dasht ne aansu bhi na puchhe afsos
main ne ro ro ke lahu saikDon maidan bhare
tegh-e-qatil ko gale se jo lagaya 'muztar'
khinch ke boli ki baDe aae tum arman bhare
- Book : Khirman (Part-1) (Pg. 232)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Javed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.