aap mujhse mile nahin hote
aap mujh se mile nahīñ hote
itne shāyad gile nahīñ hote
baat karnī mujhe bhī aatī hai
hoñTh sab ke sile nahīñ hote
aa bhī jaao udaas rahtā huuñ
aur mujh se gile nahīñ hote
aap hī se bahāreñ haiñ varna
baaġh dil ke khile nahīñ hote
dostī rāste kī mat karnā
dil safar meñ mile nahīñ hote
aap mujh se mile nahin hote
itne shayad gile nahin hote
baat karni mujhe bhi aati hai
honTh sab ke sile nahin hote
aa bhi jao udas rahta hun
aur mujh se gile nahin hote
aap hi se bahaaren hain warna
bagh dil ke khile nahin hote
dosti raste ki mat karna
dil safar mein mile nahin hote
- Book : احتزاز غزل (Pg. 56)
- Author : ساغر سیالکوٹی
- Publication : ساہتیہ کلش پبلی کیشن (2004)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.