aapne jab kaha ki KHush hun main
aap ne jab kahā ki ḳhush huuñ maiñ
mujh ko aisā lagā ki ḳhush huuñ maiñ
aa.ina dekhtā huuñ hairat se
ḳhush hai ye aa.ina ki ḳhush huuñ maiñ
laakh samjhā rahā huuñ maiñ dil ko
dil nahīñ māntā ki ḳhush huuñ maiñ
jaane kyā kah rahā thā vo mujh se
maiñ ne bhī kah diyā ki ḳhush huuñ maiñ
dil to ye chāhtā thā vo bhī kahe
maiñ hī kahtā rahā ki ḳhush huuñ maiñ
ḳhush huuñ maiñ jis ke lauT aane se
vo nahīñ jāntā ki ḳhush huuñ maiñ
ab vo tujh se agar mirā pūchhe
tū bas itnā batā ki ḳhush huuñ maiñ
aur kyā chiiz hai ḳhushī 'momin'
ḳhush hai mujh se ḳhudā ki ḳhush huuñ maiñ
aap ne jab kaha ki KHush hun main
mujh ko aisa laga ki KHush hun main
aaina dekhta hun hairat se
KHush hai ye aaina ki KHush hun main
lakh samjha raha hun main dil ko
dil nahin manta ki KHush hun main
jaane kya kah raha tha wo mujh se
main ne bhi kah diya ki KHush hun main
dil to ye chahta tha wo bhi kahe
main hi kahta raha ki KHush hun main
KHush hun main jis ke lauT aane se
wo nahin jaanta ki KHush hun main
ab wo tujh se agar mera puchhe
tu bas itna bata ki KHush hun main
aur kya chiz hai KHushi 'momin'
KHush hai mujh se KHuda ki KHush hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.