aapne qadr kuchh na ki dil ki
aap ne qadr kuchh na kī dil kī
uḌ ga.ī muft meñ hañsī dil kī
ḳhū hai az-bas ki āshiqī dil kī
ġham se vābasta hai ḳhushī dil kī
yaad har haal meñ rahe vo mujhe
al-ġharaz baat rah ga.ī dil kī
mil chukī ham ko un se dād-e-vafā
jo nahīñ jānte lagī dil kī
chain se mahv-e-ḳhvāb-e-nāz meñ vo
bekalī ham ne dekh lī dil kī
hama-tan sarf-e-hoshyāri-e-ishq
kuchh ajab shai hai be-ḳhudī dil kī
un se kuchh to milā vo ġham hī sahī
aabrū kuchh to rah ga.ī dil kī
mar miTe ham na ho sakī puurī
aarzū tum se ek bhī dil kī
vo jo bigḌe raqīb se 'hasrat'
aur bhī baat ban ga.ī dil kī
aap ne qadr kuchh na ki dil ki
uD gai muft mein hansi dil ki
KHu hai az-bas ki aashiqi dil ki
gham se wabasta hai KHushi dil ki
yaad har haal mein rahe wo mujhe
al-gharaz baat rah gai dil ki
mil chuki hum ko un se dad-e-wafa
jo nahin jaante lagi dil ki
chain se mahw-e-KHwab-e-naz mein wo
bekali hum ne dekh li dil ki
hama-tan sarf-e-hoshyari-e-ishq
kuchh ajab shai hai be-KHudi dil ki
un se kuchh to mila wo gham hi sahi
aabru kuchh to rah gai dil ki
mar miTe hum na ho saki puri
aarzu tum se ek bhi dil ki
wo jo bigDe raqib se 'hasrat'
aur bhi baat ban gai dil ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.