aap ruKH par naqab rakhte hain
aap ruḳh par naqāb rakhte haiñ
abr meñ māhtāb rakhte haiñ
tum ko saa.e meñ dhuup lagtī hai
sar pe ham āftāb rakhte haiñ
shauq se kījiye jafā ham par
ham kahāñ ab hisāb rakhte haiñ
talḳh lahja hai aap kā phir bhī
lab pe ham jī janāb rakhte haiñ
aap patthar uchhāliye be-shak
haath meñ ham gulāb rakhte haiñ
shā.irī aap bhī kiyā kiije
shauq to ye navāb rakhte haiñ
chubhte ho jo 'anīs' āñkhoñ meñ
ham kahāñ aise ḳhvāb rakhte haiñ
aap ruKH par naqab rakhte hain
abr mein mahtab rakhte hain
tum ko sae mein dhup lagti hai
sar pe hum aaftab rakhte hain
shauq se kijiye jafa hum par
hum kahan ab hisab rakhte hain
talKH lahja hai aap ka phir bhi
lab pe hum ji janab rakhte hain
aap patthar uchhaaliye be-shak
hath mein hum gulab rakhte hain
shairi aap bhi kiya kije
shauq to ye nawab rakhte hain
chubhte ho jo 'anis' aankhon mein
hum kahan aise KHwab rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.